Bichri hoi Rahoon se
Ajnabi khaak ne dhundla diye qadmoo ke suragh
Bichri hoi Rahoon se, jo guzre hain kabhi ham
Hai qayamat tere Shabab ka rang
Wada, oss mahro ke aane ka
Yeh naseeba, siah khane ka!
Keh rahi hai nigah e dazidah
Rukh badalne ko hai zamane ka
Zarey zarey mein be hijaab hain woh
Jin ko dawah hai monh chupane ka
Hasil e umar hai shabab, magar
Ek yehi waqt hai ganwane ka
Chandni, khamshi or aakhir shab
Aa ke hai waqt dil mein aane ka
Hai qayamat tere Shabab ka rang
Rang badle ga phir zamane ka
Teri aankhon ki ho na ho taqseer
Naam ruswa sharab khane ka
Reh geye ban ke ham sarapa gham
Yeh natija hai dil lagane ka
JIs ka har lafz hai sarapa gham
Main hoon unwan oss fasane ka
Oss ki badli hoi nazar, tauba!
Yoon badalta hai rukh zamane ka
Dekhte haim hamein, woh chup chup kar
Parda reh jaye, monh chupane ka
Kar diya khogar sitam Akhtar
Ham pe ehsaan hai zamane ka
Dil mein Khial e Nargis
Dil mein Khial e Nargis, janana aa geya
Pholon se khelta hoa deewana aa geya
Badal ke othte hi maye o paimana aa geya
Bijli ke saath saath pari khana aa geya
Mastoon ne ess ada se kia raqs e nau bahar
Paimana kia ke wajd mein maye khana aa geya
Ess chashm e maye faroosh ki taseer kia kahoon
Aankhon tak aaj aap hi paimana aa geya
Maloom kis ko qais ki deewangi ki shan
Hangama sa bapa hai ke deewana aa geya
Akhtar ghazab thi ahd e jawani ki dastaan
Aankhon ke agey aik pari khana aa geya
Yoon hi mastana Piye ja
Mastana piye ja, Yoon hi mastana Piye ja
Paimana tu kia cheez hai, maye khana piye ja
Kar gharq maye o jaam, gham gardish e ayaam
Haan aae dil e nakaam hakimana piye ja
Maye noshi ke adaab se agaah naheen tu
Jis tarhan kahe saqi maye khana piye ja
Kashkool ho ya saghir jam, nasha hai yaksaan
Shahana piye ja ke faqirana piye ja
Ess makar ki basti mein hai masti hi se hasti
Deewana ban or ba dil deewana piye ja
Har jaam mein raqsaan hai parikhana masti
Aankhon se laga kar yeh pari khana piye ja
Maye khane ke hangame hain kuch dair ke mehmaan
Hai subha qareeb Akhtar deewana piye ja
Tumhare ishq mein sab kuch Tabah
Dil o dimagh ko ro loon ga, aah kar loon ga
Tumhare ishq mein sab kuch Tabah, kar loon ga
Agar mujhe na milein tum, tumhare sar ki qasam!
Main apni sari jawani tabah kar loon ga
Mujhe jo dair o haram mein, kaheen jagha na mili
Tere khial hi ko sajda gaah kar loon ga!
Jo tum se kar diya mehroom, aasman ne mujhe
Main apni zindagi sirf gunah kar loon gga
Raqeeb se bhi miloon ga, tumhare hukam pe main
Jo abb talak na kiya tha abb aah kar loon ga!
Tumhari yaad mein, main kaat doon ga hashar se din
Tumhare hijar mein raatein siah kar loon ga
Yeh nau bahar, yeh abar o hawa, yeh rang e sharab
Chalo jo ho so ho abb tu gunah kar loon ga
Kisi haseena ke masoom ishq mein Akhtar
Jawani kia hai main sab kuch tabah kar loon ga
Khuli aankhon mein jab Ensaan
Khuli aankhon mein jab Ensaan, kuch khawabon mein jeeta hai
Woh lamhe mujhe pe guzre hain, woh alam mujh pe beeta hai
Achanak jast bharta hai kisi jharee ke peeche se
Tamanaoo ke jungle ka jo ek khunkhawar cheeta hai
Milo tum roz mujh se log chahe jo bhi rukh deh dein
Yahan mehfooz tuhmat se na mariam hai na seeta hai
Muhabbat mein naheen abb jhoot ki koi bhi gunjaish
Mere haathon mein Quran hai tere haathon mein geeta hai
Wafa ke khail mein kia kia jatan karne pare hoon ge
Na poocho kis tarhan main ne kisi ka pyar jeeta hai
Qateel apne sukhan ki dhaal ko mazboot tar rakhna
Sona hai sher ka qatil salo lied ka feeta hai
Bhar aaye hain Aansoo – 2 Lines Shayari
Sirf chehre ki udaasi pe, Bhar aaye hain Aansoo
Dil ka alam tu abhi aap ne dekha hi naheen